Friday, September 10, 2010

Khoyi Khoyi Si



khoyi khoyi si hoon main
kyun ye dil ka haal hai
dhundhle saare khaab hain
uljha har khayaal hai
saari kaliyaan murjha gayin
rang unke yaadon mein reh gaye
saare gharonde ret ke,
lehrein aayin lehron mein beh gaye.

raah mein kal kitne charaag the,
saamne kal phoolon ke baag the
kis se kahun kaun hai jo sune,
kaante hi kyun maine hain chune
sapne mere kyun hain kho gaye
jaage hain kyun dil mein gham naye

saari kaliyaan murjha gayin
rang unke yaadon mein reh gaye
saare gharonde ret ke,
lehrein aayin lehron mein beh gaye.

Kya kahun kyun ye dil udaas hai
ab koi door hai na paas hai
chhoo le jo dil wo baatein ab kahan
wo din kahan raatein ab kahan
jo beeta kal hai ab khwab sa
ab dil mera hai betaab sa

saari kaliyaan murjha gayin
rang unke yaadon mein reh gaye
saare gharonde ret ke,
lehrein aayin lehron mein beh gaye..

No comments: